Mera dil jiske liye jag utha hai,
Kya woh mere khuda ka bheja hua hai?
Lagta to aysa hi woh, Bilkul mere jaisa,
Meri rooh main bas chuka hai...
Zameen aasmaan ka phark hote hue bhi,
Ek hone ka ehsaas hua hai,
Duniyan ki mushkilain samne aate hue bhi,
Aakhri manzil pe bharosa dilojaan se hua hai...
Kaiynaat saari cheezain mere saamne la rahi hai,
Mujhe har pal sahi rasta dikha rahi hai,
Jo lamhe ghabrahat main kho bhi jaate hai,
Woh bharpoor pyaar, himmat aur aitbaar se wapas dila rahi hai...
Mere bharose aur mere khuda ka yeh hai imtehaan,
Aage kya hoga, yeh rasta hai anjaan,
Magar aaj aur kal jeena hai befikar,
Kyuki humara rasta humare liye hoga mahaan...
Mujhe apne aap se nahi hai koi shiqwa,
Lekin tujhse hai ek gum,
Doosro ke baare main sochte sochte,
Kho diya hai tune apna makaam...
Har manzil chadni nahi hai zaroori,
Na hai paana har makaam,
Poocho unse joh tumhe chahte hai,
Kitna mushkil hai dekhna tumhe dukhi aur pareshaan...
Chup chaap apne aap main sama gaye ho,
Apna dard aur chot apne aap main mila rahe ho,
Apne dil aur chahne walo se baat tak nahi kari,
Yeh batao mujhe, yeh kar ke tum kya jatana chah rahe ho?
Sab na sahi, ek ya do log hai tumhare khaas,
Unse baat karo, taki unhe bhi hoye ehsaas,
Ki unka bhi koi hai jise chahiye sahara,
Woh bolta nahi hai kuch, taake lage na woh bechara...
Sach to yeh hai ki bolne se darta hai tu,
Kyu ki sachai aur sahi rasta hai samne,
Aur waha bikharta hai tu,
Janta hai ki sahi hai aur kya hai galat,
Par darta hai, nahi sudharta hai tu...
Aaj deti hun main ek mashora,
Apni dil ki sunno aur rab par karo bahrosa,
Galtiyan sab karke girte hai,
Jo utha hai, jaise uthta hai uske baad, woh hai sacha vijayata.
Apne aap ko na samajh himmatwaala,
Maddad mangne se ghabrata hai kyu?
Sahi raste kabhi nahi hote aasaan,
Darta hai, to upse akele kyu chalta hai tu?
Kabron pe mehel koi nahi banata,
Lekin kabron par bhi/mae bhi koi nahi hai rehta...
Yeh tere aur mere bare main nahi hai,
Yeh tera imtehaan hai, jo tu chahta nahi hai dena...
Khuda se hai mere dil kil dua,
Ki tujhe woh himmat de,
Taki chale befikar tu, Ho nidar tu,
Sahi kaaj aaj kar tu,
Aur apne bal pe vijay nikal tu...