Yeh dil rota hai tere liye,
Bahe yeh aason, tere liye...
Tu mera hokar bhi mera na ho saka,
Yeh dil kitna roya hai aaj, tere aur mere liye...
Na jaane meri kismat mujhe kya sikhana chahti hai,
Mere dil pe roz ek naya khel kilati hai,
Jeetna ya harna nahi batati,
Lekin dil dukha ke, ro ke, rola ke, jaane kya jataati hai...
Roke na ruke yeh aason,
Behlaye na behle yeh dil.
Itna dard de kar samjhana,
Kyu nahi lagta kisi aur ko mushkil?
Mere aason sirf mere hai...
Mera dukh sirf mera hai...
Baatne waala koi ho kar bhi...
Sab kuch mujhe sehna akele hai...
Meri zindagi ke kal main kya basa hai kya koi jaane,
Lekin mere aaj ke liye koi na hai sahara,
Rab se dua hai meri dilon jaan se,
Kisis aur ko mere jaisa na banana...
Sab sahne ki sakti hai,
Lekin apne aap pe na hai kuch laagu,
Kab koi samajh sakega mujhko,
Kab main is bure sapne se jaagu?
:( :'(
Tumhare intezaar main sanam,
Kahi yeh dil pathhar na ho jaye,
Main to yeh bilkul nahi chahti,
Lekin dar hai kahi yeh muqaddar na ho jaye.
Aaj hui hai yeh aankh nam,
Jaane Kya rahega kal yeh gum?
Itna kyu sochti hun main?
Kyu nahi aapne aapko rokti hun main?
Aaj pehli baar, mera dukhta dil kuch bola hai,
Jaane kyu aaj isne apna muh khola hai,
Aage jaake koi samjhe ya na samjhe,
Bina yeh soche aaj yeh dil roya aur bola hai...
... Aur likha nahi jaraha...
Ek hi sawaal dimaag main hai aa raha...
Dil tu akhir kyu rota hai?
Duniyan main to aisa hi hota hai... henna?
No comments:
Post a Comment